Tuesday, October 29, 2013

Siyaah

आंखों के पर्दे 
के पीछे 
कमरा है एक। 
काली, सियाह 
उसकी दीवारें 
चीखें तो भी 
सुनायी ना दें। 
चीखें, पुकारें 
और पुराने सभी 
ख्वाबों के दस्तावेज़ 
बंद कर के 
चाभी,
किसी बीते साल में 
फ़ेंक डाली है। 
ना कोई ढूंढने आएगा 
ना कभी साफ़ होगी 
कोने में पड़ी 
ये मेज़। 


Aankhon ke parde
Ke peechhe
Kamra hai ek
Kaali, siyaah
Uski deewarein
Cheekhein toh bhi 
Sunaayi na dein.
Cheekhein, pukaarein
Aur puraane sabhi
Khwaabon ke dastaavez
Band kar ke
Chaabhi,
Kisi beete saal mein
Phenk daali hai.
Na koi dhoondhne aayega
Na kabhi saaf hogi
Kone mein padhi
Yeh mez.

No comments: