Saturday, May 23, 2009

Toss

Yeh bistar se fridge ka faasla - mitaoon kaise?
Pet ki iss gurguraahat ka unt- paoon kaise?
Umr ho gayi susti ka mazaa uthhaye huye
Iss midnight pang ko bhulaoon kaise?
Abhi aathh baje hi khaayi makhani daal ke bawajood
Barah baje lagi craving mein logic paoon kaise?
Neend udh jaayegi posture badalte hi
Karwat badal kar uthoon, toh uthh paoon kaise?
Bhookh aur neend ke iss match mein
Toss tak bhi jaoon kaise?

Sunday, May 17, 2009

Shehtoot Miyan


लोकल पार्क की बॉउण्ड्री के उस पार 
एक अकेले कोने में 
घर से थोड़ा ही पीछे 
टहनी से लटके पढ़े थे शहतूत मियाँ 
अब मैंने सोचा, खुश ही होंगे 
गाँधी जी वाले हरे-हरे नोट जैसा ही रंग था लगभग 
बढ़े सेठ जी जैसे तने क्यों नहीं हो फिर?
पूछा तो गुस्सा हो कर लाल-पीले होने के बजाये 
लाल-नीले हो गए 
अब सोचती हूँ - 
तोड़कर घर ले जाऊँ तभी मानेंगे। 



Local park ki boundary ke uss paar
Ek akele kone mein
Ghar se thhoda-hi peechhe
Tehni se latke padhe thhe shehtoot miyaan
Ab maine socha, khush hi honge
Gandhi ji ke hare hare note jaisa hi rang thha lugbhug
Badhe seth ji jaise tane kyun nahin ho phir?
Poochha toh gussa ho kar laal-peele honey ke bajaye
Laal-neele ho gaye
Ab sochti hoon-
- todh kar ghar le jaaoon tabhi maanenge.

Friday, May 15, 2009

Baadal

dhundhalaayi shaam mein,
jab saath woh baadal chala,
bijli-paani, sab hawa huye,
chali aisi hawa,
ke pata na chala
gher ke mujhko
lipat kar mujhse
jab gud-guda baadal woh udne laga
boondon ke jhoomar-se
latke armaan bhi udha chala