Patton se latki
Aakhri si boondein
Zamee se milne ko aamaada
Ziddi si boondein
Ummeed jaisi
Optimistic si boondein
Mere bundo'n ko bhigaati
Baarish ki boondein
Bike pe bheeg ke
Ghar jaane waali boondein
Baalon ko jhoola banaane waali boondein
Bheege labon pe kuchh kehti yeh boondein
Tapakti barasti yeh naadaan boondein
Gardan se lipti yeh badmaash boondein.
