Monday, August 19, 2013

Suicidal Boondein

Kisne kahaa thha
Uchhal kar baadal bann 
Aasmaan pe chadh jao!
Ab neeche tapkogi,
Toh zor se girogi hi.
Toot kar mitti mein mil jaogi,
Nadi, naalon aur baalon
Mein paayi jaaogi.
Os ki tarah baithhi
Rehti khamosh patton pe,
Ya dhundh bann ke
Zameen se bas thhoda
Upar ko udhti,
Mausam bhi salaamat rehta
Aur tum bhi.

किसने कहा था 
उछल कर बादल बन 
आसमान पे चढ़ जाओ !
अब नीचे टपकोगी,
तो ज़ोर से गिरोगी ही।   
टूट कर मिट्टी में मिल जाओगी। 
नदी, नालों और बालों 
में पायी जाओगी। 
रहती ख़ामोश पत्तों पे, 
या धुंध बन के 
ज़मी से बस थोड़ा 
ऊपर को उठती,
मौसम भी सलामत रहता 
और तुम भी।  

Sunday, August 18, 2013

Khoon [खूं]

Lishak* raha hai
Maathhe pe,
Paseena bann ke
Gir raha hai
Kaagaz pe,
Siyaahi ki tarah
Ishq tera
Watan ke liye
Tapka toh, khoon kahaan.


लिशक़* रहा है 
माथे पे,
पसीना बन के। 
ग़िर रहा है 
कागज़ पे,
सियाही की तरह। 
इश्क़ तेरा 
वतन के लिए,
टपका तो, खून कहाँ।

*Lishak (लिशक़) means 'glisten'. One of my mother's favourite words. She speaks Punjabi and Hindustani. So, I am not sure whether it is a Punjabi word or Urdu. Love the sound of it.